Friday, 19 October 2012

For You, My Love.... Love you....

Sunsaan sannata hai
Kali raat mae

Teri yaad ka sath hai
Har ek saans mae

Yun to tanha zindagi hai
Par jalti hu main tere pyar ki aag mae
Hazaro chahne wale tere hain
Marti hu main bhi tere har jazbaat pe

Kaash ki mujhme bhi hoti wo baat
Ki deta tu hamesha mera saath

Isi kashmakash ke darmiyaan hain
Na jeete hain, Na marr pate hain..... 

Is tere pyar mae.